Multiverse ke kuch theories
Multiverse ka concept yeh hai ki hamara ek hi universe nahi hai, balki anek alag-alag universes hain jo alag-alag laws of physics, dimensions, aur realities mein exist karte hain.
theories ....
Many-Worlds Interpretation: Quantum mechanics ke context mein, har quantum decision ek naya universe create karta hai.
Cosmic Inflation: Is theory ke anusar, universe ki expansion ke dauran alag-alag regions alag realities create karte hain.
String Theory: Ismein multiple dimensions aur parallel universes ka concept hai.
1). Many-Worlds Interpretation (MWI) quantum mechanics ki ek theory hai. jo yeh suggest karti hai ki har quantum event ke outcome ke liye alag-alag universes exist karte hain. Iska matlab yeh hai ki jab kisi quantum system ka measurement kiya jata hai, to saath hi saath anek parallel realities banti hain. jahan har possible outcome hota hai.
Quantum particles ek saath multiple states mein hote hain jab tak unhe measure nahi kiya jata.Jab measurement hota hai. to universe (branch) hota hai, jahan ek universe mein ek outcome hota hai aur doosre universe mein dusra. MWI ke anusar. sab kuch deterministic hai. lekin hum sirf ek branch ko dekhte hain. Is interpretation ka matlab hai ki humare saath hi anek alag-alag realities exist karti hain. jahan har decision ka alag outcome hota hai.
Cosmic inflation....- ek theory hai jo Big Bang ke baad ke prarambhik ghatnaon ko samjhane ke liye banai gayi hai. Iske anusar. universe ne bahut hi chhoti si samay avadhi mein. bahut tezi se expand kiya. Is rapid expansion ka kuch main points hai ..
(1). Inflation theory.. batata hai ki is rapid expansion ki wajah se universe ka large-scale structure aur temperature ka uniform distribution hua.
(2).Is theory ke anusar. universe ka geometry flat hai. kyunki inflation ne curvature ko control kiya.
(3).Inflation is problem ko solve karta hai. kyunki isse alag-alag regions jo aapas mein contact mein nahi aaye. unke temperature aur density itne similar kyun hain.
(4) Inflation ke dauran quantum fluctuations se density variations hui. jo aaj ke galaxy aur large-scale structures ka karan bani
String theory... ek theoretical framework hai jo fundamental particles ko one-dimensional strings ke roop mein samjhaata hai. balki point-like particles ke bajaye. Is theory ke anusar. ye strings vibrations ke different modes ke saath vibrate karte hain. aur inke vibrations hi particles ki properties.jaise mass aur charge. ko tay karte hain.
String theory ko unify karne ke liye propose kiya gaya hai quantum mechanics aur general relativity ko. taki ek coherent theory of everything ban sake. Isme additional dimensions bhi hote hain jo humari samanya soch se pare hote hain. Aur ek hai M-theory.. ek advanced theoretical framework hai jo string theory ke multiple versions ko ek saath laane ki koshish karti hai. Yeh theory 11 dimensions ki baat karti hai. jisme 10 spatial dimensions aur ek time dimension shamil hain.
M-theory ke anusar. fundamental entities sirf strings nahi. balki membranes (ya branes) bhi ho sakti hain, jo higher-dimensional objects hain. Is theory ka maqsad quantum gravity ko samajhna aur fundamental forces ko unify karna hai ..
Comments
Post a Comment