DARK PSYCHOLOGY

 1. The Illusion of Choice  Aapko yakin nahi hoga

-  Kai baar hume lagta hai ki hum apni marzi se koi option choose kar rahe hain, lekin asal me wo choices pehle se hi kisi aur ne control ki hoti hain! Isko Forced Choice Technique kehte hain.  


Example: Political debates me leaders sirf do options dete hain jisse log ussi me se ek choose karein jabki teesra option bhi ho sakta hai  



2. Gaslighting 

  

Yeh dangerous hai! Gaslighting ek technique hai jisme kisi bhi insan ko uski reality par shak karaya jata hai, taaki wo manipulator pe depend kare

  

Example: Ek real-life case me serial killer ne apni victims ko emotionally manipulate kiya tha, jisse unhe uspar doubt na hO  



3. Fear-Based Manipulation

   

 Aapko pata hai Governments aur advertising companies *fear ka use karti hain taaki log unki baat mane

  

 Example: Insurance companies darr dikhakar policy bechti hain Agar aap insurance nahi loge toh aapke ghar wale safe nahi rahenge  




4. The Power of Silence

  

 Ajeeb baat hai! Jab koi argument me chillane lagta haI aur dusra insan silent rehta hai, toh jo chillata hai wo apni hi baat pe doubt karne lagta hai!

  

 Example: Negotiation me silence ek deadly tool hota hai! Salesperson agar koi price bole aur aap chup raho, toh wo khud apna price kam karne lagta hai! 




5. Reverse Psychology –  Jab kisi insan ko koi kaam karne se mana kiya jata hai, toh uski curiosity..aur badh jati haI. Isko [Reverse Psychology] kehte hain.

  

1920s me Coca-Cola ne bola ki unki recipe secret haI jisse log aur zyada peene lage!  



6. The Mirror Trick –   Aapko pata hai?


 Agar aap kisi ka body language copy karo, toh wo insan aapko pasand karne lagta hai!

  

Example: Kai leaders aur businessmen yeh trick use karte hain taaki samne wala unse emotionally connect ho jaye.  


7. The Foot-in-the-Door Technique  


Ek chhoti request pe haan bolne ke baad, log badi request bhi maan lete hain

 

Example: Scam calls pehle ek chhoti survey maangti hain, fir dhire-dhire personal details le leti hain.... 


Comments

hum se brahm tak

hum se brahm tak

kakbhusundhi ji aur multiverse

kuch to hai jo hume naahi pata